Ghazal - Begum Akhtar 03 (Audio)
GHAZAL
======
URL for BEGUM AKHTAR'S PLAYLIST:
http://www.youtube.com/view_play_list?p=FBB2E816D88BA01C
ishq meiN Ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
warna kya baat thi kis baat ne rone na diya
aap kahte thEy ke rone se na badaleiNge naseeb
umr bhar aap ki iss baat ne rone na diya
ronewaaloN se kaho unka bhi rona ro leiN
jin ko majbuuri-e-haalaat ne rone na diya
tujh se milkar hameiN rona tha bahut rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diya
ek do roz ka sadama ho to ro leiN Faakir*
ham ko harr roz ke sadmaat ne rone na diya
(Sudarshan Fakir*)